Sahra Se Naddi Ke Safar Mein Rawan Thi KHak
sahra se naddi ke safar mein rawan thi KHak
yani apni asl mein ek imkan thi KHak
aisi taza-kari is bosida-waraq par
meri shakl mein aane se pahle kahan thi KHak
hawa uDai us ne ek ek aalam ki
ye us daur ki baat hai jab ki jawan thi KHak
ek KHushbu ki zad mein tha us ka har raqs
aur isi KHushbu ke liye makan thi KHak
us mein jitni girhen thin sab aab ki thin
warna apne rang mein to aasan thi KHak
(356) Peoples Rate This