Tum Apni Fikr Ko Be-shak UDan Mein Rakhna
tum apni fikr ko be-shak uDan mein rakhna
zamin-bos imarat bhi dhyan mein rakhna
nigah paDne na pae yatim bachchon ki
zara chhupa ke khilaune dukan mein rakhna
hamein to ahl-e-siyasat ne ye bataya hai
kisi ka tir kisi ki kaman mein rakhna
hawaen tez bahut hain ye chahaton ke diye
zara sambhaal ke apne makan mein rakhna
jadid ahd ke maqruz hain mere bachche
mere KHuda unhen apni aman mein rakhna
tumhaara rang-e-suKHan koi bhi rahe 'mahbub'
ghazal ka zaiqa apni zaban mein rakhna
(486) Peoples Rate This