KHuda Ka Shukr Hai Girdab Se Nikal Aaya
KHuda ka shukr hai girdab se nikal aaya
main us ke halqa-e-ahbab se nikal aaya
saji hui thin dukanen munafiqat ki jahan
main aise qarya-e-be-KHwab se nikal aaya
bahut dinon se hisar-e-tilism-e-KHwab mein tha
tilism TuT gaya KHwab se nikal aaya
ata hui hai mohabbat ki saltanat jab se
main shahr-e-dida-e-KHun-nab se nikal aaya
kabhi gulab se aane lagi mahak us ki
kabhi wo anjum o mahtab se nikal aaya
ana ki naw jahan Dolti phire 'mahbub'
main us fareb ke sailab se nikal aaya
(452) Peoples Rate This