Tum Kahan Ho
main tumhaari ruh ki angDaiyon se aashna hun
main tumhaari dhaDkanon ke zer-o-bam pahchanta hun
main tumhaari ankhDiyon mein narm lahren jagti si dekhta hun
jaise jadu jagta ho
tum amar ho to lachakti Tahniyon ki mamta ho
tum jawani ho tabassum ho mohabbat ki lata ho
main tumhein pahchanta hun tum meri pahli KHata ho
lahlahati jhumti phulwariyon ki tazgi ho be-adai ki ada ho
tez manDlati ababilon ke nanhe bazuon ka hausla ho
phul ho aur phul ke anjam se na-ashna ho
Daliyon par phulti ho jhulti ho dekhti ho bhulti ho
har nae fanus pe girti hui parwangi ho
aur KHud bhi raushni ho
zindagi ho zindagi ke gird chakkar kaTti ho
main tumhein pahchanta hun tum mohabbat chahti ho
KHud ko dekho aur bhari duniya ko dekho aur socho
aur socho tum kahan ho
(436) Peoples Rate This