Raat Aur Din
main ne mahsus kiya hai to khuli hain aankhen
main ne mahsus kiya hai to jale hain ye charagh
ye charaghan ye chaman kaise mile un se najat
sans lene ko Thahar jao to jadu ka hisar
har taraf shola-zaban nag hain phan jhumte hain
sar uThate hain nae rag nai ragniyan
panw paDte hain gale paDte hain anjaane KHayal
kya mere pas magar ek thakan ek umang
ek jine ki lagan ek mohabbat ka lahu
na andhere na ujale se adawat hai mujhe
raat hai din hai magar mujh ko to donon se hai kaam
kaam jhuTa ho to pahchanne wale bhi kai
rang sachche bhi na hon log bura mante hain
chalti-phirti hain darichon mein kai taswiren
kya karun main teri duniya hai meri aankhen hain
raat aur din mein koi farq nahin hai aisa
main ne mahsus kiya hai to khuli hain aankhen
main ne mahsus kiya hai to jale hain ye charagh
(444) Peoples Rate This