Kaif Se KHumar Tak
wo hasin thi mah-e-jabin thi
be-guman thi be-yaqin thi
zindagi ki naram naram aahaTen
be-sabab yunhi muskurahaTen
ungliyon mein baal ko lapeTna
daman-e-KHayal ko lapeTna
har ghaDi wahi milne waliyan
be-KHayaliyan KHush-KHayaliyan
narm uljhanen kam-sini ke KHwab
ang ang mein chheDa inqalab
munh par oDhni ji kabhi nahin
main to aap se bolti nahin
aur phir haya zindagi ki mar
marifat ka bojh jabr-o-iKHtiyar
ek jaan aur sainkaDon wabaal
jism ki dukhan ruh ka KHayal
zindagi baDhi raushni liye
raushni baDhi tirgi liye
inkisar mein ek ghurur sa
kuchh KHumar sa kuchh surur sa
daere yahan daere wahan
raqs mein nazar raqs mein jahan
guftugu mein bal KHamushi mein loch
raat karwaTen karwaTon mein soch
dil bujha bujha tishnagi ki aanch
ajnabi thakan zindagi ki aanch
us ke kaam aaen us ka dukh baTaen
us ko chheD den aur muskuraen
us ki aankh mein kitna dard hai
rang zard hai ruh zard hai
wo udas hai kyun udas hai
us ki zindagi kis ke pas hai
ye gunah kyun bhul kyun nahin
bagh mein tamam phul kyun nahin
(395) Peoples Rate This