Diwar Se Guftugu
kisi hansti bolti jiti-jagti chiz par
ye ghamanD kya ye guman kyun
kahin aur aap ki jaan kyun
ye to silsile hain usi fareb-e-KHayal ke
gham zat-o-KHair-o-jamal ke
wahi pher ahl-e-sawal ke
aji Thik hai ye wafa ka zahr na gholiye
are aap jhuT hi boliye
nahin sab ke bhed na kholiye
koi kya kare na milen jo rang hi rang se
Daro apne ji ki umang se
kaTe kyun nigah patang se
kabhi bekasi ko pukarte hain shajar hajar
mere pas kuchh bhi nahin magar
baDi zindagi hai idhar-udhar
ye sambhalte hathon main kanpti hai kaman kyun
ye sarak rahi hai machan kyun
ye khisak rahe hain makan kyun
(388) Peoples Rate This