Chand Ke Musafir
zindagi ko dekha hai zindagi se bhage hain
raushni ke aanchal mein tirgi ke dhage hain
tirgi ke dhagon mein KHun ki rawani hai
dard hai mohabbat hai husn hai jawani hai
har taraf wahi andha khel hai anasir ka
tairta chale sahil Dubta chale dariya
chand ho to kakul ki lahr aur chaDhti hai
raat aur ghaTti hai baat aur baDhti hai
ye kashish magar kya hai reshmi lakiron mein
sham kaise hoti hai nachte jaziron mein
har qadam nai uljhan sau tarah ki zanjiren
falsafon ke virane dusron ki jagiren
aandhiyan ujalon ki ghan-garaj siyasat ki
kanpte hain sayyare raat hai qayamat ki
jang se jale duniya chand ko chale pagal
aankh par gire bijli kan mein paDe kajal
daur hai parindon ka chheD hai sitaron se
kaenat aajiz hai hum gunahgaron se
(430) Peoples Rate This