Sabab Talash Na Kar Bas Yunhi Hai Ye Duniya
sabab talash na kar bas yunhi hai ye duniya
wahi bahut hai jo kuchh jaanti hai ye duniya
khulat mein band hain konpal ke sote jagte rang
parat parat mein nai dilkashi hai ye duniya
ulajhte rahne mein kuchh bhi nahin thakan ke siwa
bahut haqir hain hum tum baDi hai ye duniya
ye log sans bhi lete hain zinda bhi hain magar
har aan jaise inhen rokti hai ye duniya
bahut dinon to ye sharmindagi thi shamil-e-haal
hamin KHarab hain achchhi bhali hai ye duniya
hare-bhare rahen tere chaman tere gulzar
hara hai zaKHm-e-tamanna bhari hai ye duniya
tum apni lahr mein ho aur kisi bhanwar ki tarah
main dusra hun koi tisri hai ye duniya
wo apne sath bhi rahte hain chup bhi rahte hain
jinhen KHabar hai ki kya bechti hai ye duniya
'KHizan' na soch ki bikti hai kyun badan ki bahaar
samajh ki ruh ki sauda-gari hai ye duniya
(390) Peoples Rate This