Mohabbat Ko Gale Ka Haar Bhi Karte Nahin Banta
mohabbat ko gale ka haar bhi karte nahin banta
kuchh aisi baat hai inkar bhi karte nahin banta
KHulus-e-naz ki tauhin bhi dekhi nahin jati
shuur-e-husn ko bedar bhi karte nahin banta
tujhe ab kya kahen ai mehrban apna hi rona hai
ki sari zindagi isar bhi karte nahin banta
sitam dekho ki us be-dard se apni laDai hai
jise sharminda-e-paikar bhi karte nahin banta
ada ranjidagi parwangi aansu-bhari aankhen
ab itni sadgi kya pyar bhi karte nahin banta
jawani mehrbani husn bhi achchhi musibat hai
use achchha use bimar bhi karte nahin banta
bhanwar se ji bhi ghabraata hai lekin kya kiya jae
tawaf-e-mauj-e-kam-raftar bhi karte nahin banta
isi dil ko bhari duniya ke jhagDe jhelne Thahre
yahi dil jis ko duniya-dar bhi karte nahin banta
jalati hai dilon ko sard-mehri bhi zamane ki
sawal-e-garmi-e-bazar bhi karte nahin banta
'KHizan' un ki tawajjoh aisi na-mumkin nahin lekin
zara si baat par israr bhi karte nahin banta
(452) Peoples Rate This