KHwab Se Parda Karo Dekho Mat
KHwab se parda karo dekho mat
ab agar dekh sako dekho mat
girte shahtiron ke jangal hain ye shahr
chup raho chalte raho dekho mat
jhuT sach donon hi aaine hain
us taraf koi na ho dekho mat
husn kya ek chaman ek kohram
tez-o-ahista chalo dekho mat
pankhuDi ek parat aur parat
kyun bakheDe mein paDho dekho mat
har kali ek bhanwar ek baadal
khel mein khel na ho dekho mat
ye purani ye anokhi KHushbu
kuchh din aawara phiro dekho mat
har taraf dekhne wali aankhen
un ke sae se bacho dekho mat
kam-libasi ho gila ya israr
be-KHabar jaise raho dekho mat
aafiyat is mein hai ghafil guzro
mat nigahon se giro dekho mat
kenchuli haT gai zinda resham
phir ye kahta hai haTo dekho mat
dekhte dekhte manzar hai kuchh aur
dhul aankhon mein bharo dekho mat
sath ke niche hai kya jaane kaun
lahr ki lai pe baDho dekho mat
ek hi jal hai yahan maya-jal
pyas ke jal buno dekho mat
(422) Peoples Rate This