KHizan Mein KHubiyan Aaise Bahut Hain
'KHizan' mein KHubiyan aaise bahut hain
KHarabi ek hai bante bahut hain
koi rasta kahin jae to jaanen
badalne ke liye raste bahut hain
nai duniya ke sundar ban ke andar
purane waqt ke paude bahut hain
hue jab se zamane bhar ke ham-rah
hum apne sath bhi thoDe bahut hain
lagawaT hai sitaron se purani
raqabat hai magar milte bahut hain
bahut hoga to ye sochoge shayad
ki hum bhi the yahan jaise bahut hain
hai sab surat ka chakkar, KHwab mani
dikhae hain bahut dekhe bahut hain
jasarat dil mein kya ho fan mein kya ho
mulazim-pesha hain Darte bahut hain
kisi se kyun ulajhte kya ulajhte
ye dhage KHud-ba-KHud uljhe bahut hain
thakan chaaron taraf hai chalte jao
pahunchta kaun hai chalte bahut hain
KHafa hum se na ho ai chashm-e-jaanan
hum is andaz par marte bahut hain
kaho ye bhi 'KHizan' kahne se pahle
jo kahte kuchh nahin kahte bahut hain
(391) Peoples Rate This