Hum Aap Qayamat Se Guzar Kyun Nahin Jate
hum aap qayamat se guzar kyun nahin jate
jine ki shikayat hai to mar kyun nahin jate
katraate hain bal khate hain ghabraate hain kyun log
sardi hai to pani mein utar kyun nahin jate
aankhon mein namak hai to nazar kyun nahin aata
palkon pe guhar hain to bikhar kyun nahin jate
aKHbar mein rozana wahi shor hai yani
apne se ye haalat sanwar kyun nahin jate
ye baat abhi mujh ko bhi malum nahin hai
patthar idhar aate hain udhar kyun nahin jate
teri hi tarah ab ye tere hijr ke din bhi
jate nazar aate hain magar kyun nahin jate
ab yaad kabhi aae to aaine se puchho
'mahbub-KHizan' sham ko ghar kyun nahin jate
(402) Peoples Rate This