Hasrat-e-ab-o-gil Dobara Nahin
hasrat-e-ab-o-gil dobara nahin
dekh duniya nahin hamesha nahin
sochne ka koi natija nahin
saya hai e'tibar-e-saya nahin
sada-kari kai parat kai rang
sadgi ek ada-e-sada nahin
achchhe lagte hain achchhe log mujhe
jo samajhte hain un se parda nahin
main kahin aur kis tarah jaun
tu kisi aur ke alawa nahin
tujh se bhage sukun se bhage
sar-garan hain ki dil-girafta nahin
raat zanjir si qadam-ba-qadam
ek manzil hai koi jada nahin
husn to ho chala zamana-shanas
ishq ka bhi koi bharosa nahin
sunte hain ek jazira hai ki jahan
ye bala-e-hawas-e-KHamsa nahin
ai sitaro kise pukarte ho
is KHarabe mein koi zinda nahin
chandni khelti hai pani se
itni barsat hai ki sabza nahin
kaise be-dard hain ki joDte hain
naram alfaz jin mein rishta nahin
kahin ijad mahz be-mafhum
kahin mafhum hai to lahja nahin
kahin taswir nak-naqshe baghair
kahin diwar hai daricha nahin
un se kaghaz mein jaan kaise paDe
jin ki aankhon mein aks-e-taza nahin
dushmani hai to dushmani hi sahi
main nahin ya dukan-e-shisha nahin
KHak se kis ne uThte dekhi hai
wo qayamat ki istiara nahin
kabhi har sans mein zaman-o-makan
kabhi barson mein ek lamha nahin
bekali tar kasti jae 'KHizan'
hasrat-e-ab-o-gil dobara nahin
(605) Peoples Rate This