Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_93fde6485f6dbf58237e33a8308e1aac, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Haal Aisa Nahin Ki Tum Se Kahen - Mahboob Khizan Poetry In English - Darsaal

Haal Aisa Nahin Ki Tum Se Kahen

haal aisa nahin ki tum se kahen

ek jhagDa nahin ki tum se kahen

zer-e-lab aah bhi muhaal hui

dard itna nahin ki tum se kahen

tum zuleKHa nahin ki hum se kaho

hum masiha nahin ki tum se kahen

sab samajhte hain aur sab chup hain

koi kahta nahin ki tum se kahen

kis se puchhen ki wasl mein kya hai

hijr mein kya nahin ki tum se kahen

ab 'KHizan' ye bhi kah nahin sakte

tum ne puchha nahin ki tum se kahen

(6381) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Haal Aisa Nahin Ki Tum Se Kahen In English By Famous Poet Mahboob Khizan. Haal Aisa Nahin Ki Tum Se Kahen is written by Mahboob Khizan. Read famous Poem Haal Aisa Nahin Ki Tum Se Kahen for youth and Student by Mahboob Khizan. Free Download Haal Aisa Nahin Ki Tum Se Kahen in PDF.