Fana Kahte Hain Kis Ko Maut Se Pahle Hi Mar Jaana
fana kahte hain kis ko maut se pahle hi mar jaana
baqa hai nam kis ka apni hasti se guzar jaana
jo roka rah mein hur ne to shah abbas se bole
mere bhai na ghusse mein kahin had se guzar jaana
kaha ahl-e-haram ne roke yun akbar ke lashe par
jawan hone ka shayad tum ne rakkha nam mar jaana
baqa mein tha fana ka martaba hasil shahidon ko
wahan is par amal tha maut se pahle hi mar jaana
na lete kaam gar sibt-e-nabi sabr-o-tahammul se
lainon ka nigah-e-KHashm se aasan tha mar jaana
dikhai jang mein surat udhar ja pahunche wo kausar
ye asghar hi ki thi raftar idhar aana udhar jaana
yahan ka zinda rahna maut se bad-tar samajhta hun
hayat-e-jawidan hai karbala mein ja ke mar jaana
(424) Peoples Rate This