Baada-e-KHum-e-KHana-e-tauhid Ka Mai-nosh Hun
baada-e-KHum-e-KHana-e-tauhid ka mai-nosh hun
chur hun masti mein aisa be-KHud-o-madhosh hun
gird phirne de mujhe saqi ye mera farz hai
misl-e-saghar daur mein hun baada-e-sar-josh hun
tarz-e-KHamoshi meri batlati hai is raaz ko
hun nawasanj-e-haqiqat lakh main KHamosh hun
dardmand-e-ishq ho kar zabt ka KHugar hun main
surat-e-simab ho kar paikar-e-KHamosh hun
kis ki furqat wasl kis ka aur hai mashuq kaun
'shad' main is aalam-e-takwin ka ham-aghosh hun
(378) Peoples Rate This