Tajrabe Ki Sarhad Par
rag Dub jate hain
saz TuT jate hain
aasman ke goshon mein
an-ginat sitaron ke
dip bujhne lagte hain
din ki dhup mein akasr
wasl-e-mumkina ke sab ahd chhoD dete hain
baaton mein khanak napaid
aur chamak nigahon mein
mand paDti jati hai
reshmin lahje bhi
khurdure se lagte hain
sohbaton mein pahli si
be-KHudi nahin rahti
chehra-e-rifaqat par zardi
chhane lagti hai
jazb-e-ishq ko thak kar
nind aane lagti hai
tajrabe ki sarhad par aa ke bhed khulta hai
koi bhi talluq ho, ek sa nahin rahta
(360) Peoples Rate This