Apni Palkon Se Jo TuTe Hain Guhar Dekhte Hain
apni palkon se jo TuTe hain guhar dekhte hain
hum dua mangte hain aur asar dekhte hain
koi barsa hua baadal bhi jo guzra hai to hum
Dar ke barish mein Tapakta hua ghar dekhte hain
sair kaisi yahan tahzib ki zanjir bhi hai
hum to bas rauzan-e-diwar se dar dekhte hain
sirf KHwabon ka jahan hum ne sajaya warna
log to ji mein jo aa jae wo kar dekhte hain
dagh-e-dil dida-e-tar wahshat-e-jaan tanhai
un ko kya wo to faqat arz-e-hunar dekhte hain
ek wo manzilen baDh kar jinhen lene aaen
ek hum rah mein jo gard-e-safar dekhte hain
dil bujha jata ho jab raat ki tariki mein
dekhne wale tab aasar-e-sahar dekhte hain
(432) Peoples Rate This