Rakhte Hain Mere Ashk Se Ye Dida-e-tar Faiz
rakhte hain mere ashk se ye dida-e-tar faiz
daman mein liya apne hai dariya ne guhar faiz
pur-nur ajab kya hai kare mujh ko karam se
rakhti hai do aalam pe teri ek nazar faiz
ek jam pe baKHshe hai yahan rutba jism ko
kis ki nigah-e-mast se rakhta hai KHumar faiz
mahrum nahin koi tere KHwan-e-karam se
hai hasr KHudai ka hi tujh pe magar faiz
'chanda' rahe partaw se tere ya ali raushan
KHurshid ko hai dar se tere sham-o-sahar faiz
(431) Peoples Rate This