Rahe Nau-roz Ishrat-afrin Josh-e-bahaar-afza
rahe nau-roz ishrat-afrin josh-e-bahaar-afza
gul-afshan hai karam tera chaman mein dahr ke har ja
na puchho koi aish-o-KHurrami ko ahd mein us ke
ki jis ke faiz se ghar ghar hai daur-e-saghar-e-sahba
arastu-jah wo farruKH-nazhad-e-ahl-e-alam hai
ki jis ke fazl-o-baKHshish ka jahan mein hai alam barpa
dua hai ye mawali ki tasadduq se aimma ke
rakhe sae mein apne lutf ke tujh ko ali maula
nahin kuchh zeb ai mehr-e-siphar-e-ma'adalat is mein
ayan 'chanda' pe jo kuchh hai nawazish ye karam-farma
(498) Peoples Rate This