Garche Gul Ki Sej Ho Tis Par Bhi UD Jati Hai Nind

garche gul ki sej ho tis par bhi uD jati hai nind

sar rakhun qadmon pe jab tere mujhe aati hai nind

dekh sakta hi nahin aankhon se Tuk aankhen mila

muntazir se misl-e-nargis tere sharmati hai nind

jab se ye mizhgan hue dar par tere jarub-kash

ru-ba-ru tab se meri aankhon ke Tal jati hai nind

dhyan mein gul-ru ke chain aata nahin afsana-gar

le saba se gah bu-e-yar bahlati hai nind

ashk to itne bahe 'chanda' ki chashm-e-KHalq se

qurrat-ul-ain-e-ali ke gham mein bah jati hai nind

(420) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Garche Gul Ki Sej Ho Tis Par Bhi UD Jati Hai Nind In English By Famous Poet Mah Laqa Chanda. Garche Gul Ki Sej Ho Tis Par Bhi UD Jati Hai Nind is written by Mah Laqa Chanda. Read famous Poem Garche Gul Ki Sej Ho Tis Par Bhi UD Jati Hai Nind for youth and Student by Mah Laqa Chanda. Free Download Garche Gul Ki Sej Ho Tis Par Bhi UD Jati Hai Nind in PDF.