Basant Aai Hai Mauj-e-rang-e-gul Hai Josh-e-sahba Hai

basant aai hai mauj-e-rang-e-gul hai josh-e-sahba hai

KHuda ke fazl se aish-o-tarab ki ab kami kya hai

bayan main kya karun us ke shabistan ka ta'al-allah

qaza-o-qadr jis ke jashn ka ab kar-farma hai

saKHawat mein koi ham-sar na ho us ka zamanae mein

wahi karta hai pura jis ke dil mein jo irada hai

KHizar ki umr ho us ki tasadduq se aimma ke

nizam-ud-daula aasaf-jah jo sab ka masiha hai

bahi-KHwan-e-karam se hai sada ummid 'chanda' ko

kisi ki bhi na ho muhtaj tum se ye tamanna hai

(453) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Basant Aai Hai Mauj-e-rang-e-gul Hai Josh-e-sahba Hai In English By Famous Poet Mah Laqa Chanda. Basant Aai Hai Mauj-e-rang-e-gul Hai Josh-e-sahba Hai is written by Mah Laqa Chanda. Read famous Poem Basant Aai Hai Mauj-e-rang-e-gul Hai Josh-e-sahba Hai for youth and Student by Mah Laqa Chanda. Free Download Basant Aai Hai Mauj-e-rang-e-gul Hai Josh-e-sahba Hai in PDF.