Aalam Teri Nigah Se Hai Sarshaar Dekhna

aalam teri nigah se hai sarshaar dekhna

meri taraf bhi Tuk to bhala yar dekhna

nadan se ek umr raha mujh ko rabt-e-ishq

dana se ab paDa hai sarokar dekhna

gardish se teri chashm ke muddat se hun KHarab

tis par kare hai mujh se ye iqrar dekhna

naseh abas kare hai mana mujh ko ishq se

aa jae wo nazar to phir inkar dekhna

'chanda' ko tum se chashm ye hai ya ali ki ho

KHak-e-najaf ko surma-e-absar dekhna

(435) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aalam Teri Nigah Se Hai Sarshaar Dekhna In English By Famous Poet Mah Laqa Chanda. Aalam Teri Nigah Se Hai Sarshaar Dekhna is written by Mah Laqa Chanda. Read famous Poem Aalam Teri Nigah Se Hai Sarshaar Dekhna for youth and Student by Mah Laqa Chanda. Free Download Aalam Teri Nigah Se Hai Sarshaar Dekhna in PDF.