KHwabon Mein Masruf Hai Tu Par Meri Ye Bedari Dekh
KHwabon mein masruf hai tu par meri ye bedari dekh
meri raaton ki syahi mein rang-e-KHun ko tari dekh
dekh tu meri ghurbat ko aur meri murda aankhon ko
meri murda aankhon se tu ab bhi aansu jari dekh
tujh ko dene ko hai mere pas bata kya kuchh bhi nahin
tujh se baaten teri yaaden meri daulat sari dekh
meri jaan ke sath sath ab sare lafz-e-fana mere
in ko ek ek kar ke jate tu ab bari bari dekh
zehn mein ek taswir thi teri apni sari daulat jo
aaj yahan par khel khel mein hum ne wo bhi haari dekh
gird mere har ja har dam ek shor sunai deta tha
KHamoshi bhi dekh le ab tu aa kar lash hamari dekh
(414) Peoples Rate This