Ye Waiz Kaisi Bahki Bahki Baaten Humse Karte Hain
ye waiz kaisi bahki bahki baaten hum se karte hain
kahin chaDh kar sharab-e-ishq ke nashshe utarte hain
KHuda samjhe ye kya sayyaad o gulchin zulm karte hain
gulon ko toDte hain bulbulon ke par katarte hain
daya dam naza mein go aap ne par ruh chal nikli
kisi ke rokne se jaane wale kab Thaharte hain
zara rahne do apne dar pe hum KHana-ba-doshon ko
musafir jis jagah aaram pate hain Thaharte hain
na aa jaya karo aghyar ki ulfat jatane mein
wo tum par kyun bhala marne lage faqon se marte hain
har ek mausam mein kisht-e-arzu sarsabz rahti hai
taraddud ghair ko hoga yahan to chain karte hain
ye joDa kholna bhi hech se KHali nahin un ka
ulajh jata hai dil jab baal shanon par bikharte hain
samajh lena tumhaara ai raqibo kuchh nahin mushkil
KHuda jaane ye kis ka KHauf hai hum kis se Darte hain
takalluf ke ye mani hain samajh lo be-kahe dil ki
maza kya jab hamin ne ye kaha tum se ki marte hain
(311) Peoples Rate This