Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_e23b7361cbfd94a25e6c1e8840dc7ee4, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Yar Ne Is Dil-e-nachiz Ko Behtar Jaana - Madhav Ram Jauhar Poetry In English - Darsaal

Yar Ne Is Dil-e-nachiz Ko Behtar Jaana

yar ne is dil-e-nachiz ko behtar jaana

dagh ko phul to qatre ko samundar jaana

kaT gae dekhte hi hum to teri chashm-e-ghazab

jumbish-e-abru-e-KHamdar ko KHanjar jaana

sach hai yaksan hai adam aur wajud-e-duniya

aise hone ko na hone ke barabar jaana

aankh hum baada-kashon se na mila ai jamshed

apne chullu ko tere jam se baDh kar jaana

kab zamane mein hai mohtaj-e-makan KHana-KHarab

ho gai dil mein kisi ke jo jagah ghar jaana

samjhe 'jauhar' ko bura us ki shikayat kya hai

wahi achchha hai jise aap ne behtar jaana

(323) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Yar Ne Is Dil-e-nachiz Ko Behtar Jaana In English By Famous Poet Madhav Ram Jauhar. Yar Ne Is Dil-e-nachiz Ko Behtar Jaana is written by Madhav Ram Jauhar. Read famous Poem Yar Ne Is Dil-e-nachiz Ko Behtar Jaana for youth and Student by Madhav Ram Jauhar. Free Download Yar Ne Is Dil-e-nachiz Ko Behtar Jaana in PDF.