Us Ka Mizaj Puchho Jo Har Waqt Pas Hai
us ka mizaj puchho jo har waqt pas hai
us ki bala se dil jo hamara udas hai
poshak se badan ki tajalli hai aashkar
fanus-e-sham-e-tur tumhaara libas hai
dil toD kar wo nashshe mein kahte hain naz se
kis kaam ka raha hai ye TuTa glass hai
farmaiye mizaj-e-mubarak hai kis tarah
kuchh KHair to hai kis liye chehra udas hai
muddat ke baad aaj to tanha mile huzur
us par bhi puchhte hain ki kya iltimas hai
talwar ki hai qadr-shanasi ke dam ke sath
'jauhar' ko jaanta hai jo jauhar-shanas hai
(361) Peoples Rate This