ThoDa Hai Jis Qadar Main PaDhun KHat Habib Ka
thoDa hai jis qadar main paDhun KHat habib ka
dekha hai aaj aankhon se likkha nasib ka
hum mai-kashon ne nashshe mein aise kiye sawal
dam band kar diya sar-e-mimbar-KHatib ka
sayyaad ghat mein hai kahin baghban kahin
sara chaman hai dushman-e-jaan andalib ka
apni zaban se mujhe jo chahe kah len aap
baDh baDh ke bolna nahin achchha raqib ka
aankhen safed ho gain jab intizar mein
us waqt nama-bar ne diya KHat habib ka
qismat Dubone lai hai dariya-e-ishq mein
ai KHizr par kijiye beDa gharib ka
wo be-KHata hain un se shikayat hi kis liye
'jauhar' ye sab qusur hai apne nasib ka
(313) Peoples Rate This