Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_1d95acfdcd2fca9812c96db287844c59, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Ta-dasht-e-adam Aah-e-rasa Le Gai Mujhko - Madhav Ram Jauhar Poetry In English - Darsaal

Ta-dasht-e-adam Aah-e-rasa Le Gai Mujhko

ta-dasht-e-adam aah-e-rasa le gai mujh ko

jab KHak hua main to hawa le gai mujh ko

koson mai-e-gulgun ki hawa le gai mujh ko

ye lal pari ghar se uDa le gai mujh ko

muddat se na milti thi kahin rah adam ki

us shoKH ke kuche mein qaza le gai mujh ko

tha zoaf mein sauda kisi sahra-e-junun ka

wahshat mere ghar aa ke bula le gai mujh ko

'jauhar' taraf-e-kucha-e-jaanan jo gaya main

kya jaane kidhar ki ye hawa le gai mujh ko

(311) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ta-dasht-e-adam Aah-e-rasa Le Gai Mujhko In English By Famous Poet Madhav Ram Jauhar. Ta-dasht-e-adam Aah-e-rasa Le Gai Mujhko is written by Madhav Ram Jauhar. Read famous Poem Ta-dasht-e-adam Aah-e-rasa Le Gai Mujhko for youth and Student by Madhav Ram Jauhar. Free Download Ta-dasht-e-adam Aah-e-rasa Le Gai Mujhko in PDF.