Shauq Se Dil Ko Tah-e-tegh-e-nazar Hone Do
shauq se dil ko tah-e-tegh-e-nazar hone do
jis taraf us ki tabiat hai udhar hone do
dil ki kya asl hai patthar bhi pighal jaenge
ai buto tum mere nalon mein asar hone do
ghair to rahte hain din raat tumhaare dil mein
kabhi is ghar mein hamara bhi guzar hone do
naseho hum to KHaridenge mata-e-ulfat
tum ko kya faeda hota hai zarar hone do
walwale agli mohabbat ke kahan se laen
aur paida koi dil aur jigar hone do
chheDne ko mere darban kaha karte hain
Thahro jaldi na karo un ko KHabar hone do
kyun maza dekh liya dil ki kashish ka tum ne
hum na kahte the mohabbat mein asar hone do
ai shab-e-wasl-o-shab-e-aish-e-jawani Thahro
main bhi hamrah tumhaare hun sahar hone do
ranj o rahat hai bashar hi ke liye ai 'jauhar'
wo bhi din dekh liye yun bhi basar hone do
(319) Peoples Rate This