Roz Kahte The Kabhi Ghair Ke Ghar Dekh Liya
roz kahte the kabhi ghair ke ghar dekh liya
aaj to aankh se ai rashk-e-qamar dekh liya
kaba-e-dil se mili manzil-e-maqsud ki rah
yar ka hum ne usi kuche mein ghar dekh liya
jaanib-e-ghair ishaara jo hua jaante hain
hum ne KHud aankh se dekha ki idhar dekh liya
kaun sota hai kise hijr mein nind aati hai
KHwab mein kis ne tumhein ek nazar dekh liya
jab kaha main ne nahin koi chalo mere ghar
KHub raste mein idhar aur udhar dekh liya
bole chalne mein nahin uzr mujhe kuchh lekin
KHauf ye hai kisi mufsid ne agar dekh liya
aahon se aag laga denge dil-e-dushman mein
chhup ke rahte hain jahan aap ka ghar dekh liya
bach gaya naqd-e-dil ab ke to nazar se us ki
aaega phir bhi agar chor ne ghar dekh liya
(313) Peoples Rate This