Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_c57fdf26bfcde1fef2d7723c4e297288, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Raat Din Chain Hum Ai Rashk-e-qamar Rakhte Hain - Madhav Ram Jauhar Poetry In English - Darsaal

Raat Din Chain Hum Ai Rashk-e-qamar Rakhte Hain

raat din chain hum ai rashk-e-qamar rakhte hain

sham awadh ki to banaras ki sahar rakhte hain

bhanp hi lenge ishaara sar-e-mahfil jo kiya

taDne wale qayamat ki nazar rakhte hain

DhunDh leta main agar aur kisi ja hote

kya kahun aap dil-e-ghair mein ghar rakhte hain

ashk qabu mein nahin raaz chhupaun kyunkar

dushmani mujh se mere dida-e-tar rakhte hain

kaise be-rahm hain sayyaad ilahi tauba

mausam-e-gul mein mujhe kaT ke par rakhte hain

kaun hain hum se siwa naz uThane wale

samne aaen jo dil aur jigar rakhte hain

dil to kya chiz hai patthar ho to pani ho jae

mere nale abhi itna to asar rakhte hain

chaar din ke liye duniya mein laDai kaisi

wo bhi kya log hain aapas mein sharar rakhte hain

haal-e-dil yar ko mahfil mein sunaun kyun kar

muddai kan udhar aur idhar rakhte hain

jalwa-e-yar kisi ko nazar aata kab hai

dekhte hain wahi us ko jo nazar rakhte hain

aashiqon par hai dikhane ko itab ai 'jauhar'

dil mein mahbub inayat ki nazar rakhte hain

(1336) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Raat Din Chain Hum Ai Rashk-e-qamar Rakhte Hain In English By Famous Poet Madhav Ram Jauhar. Raat Din Chain Hum Ai Rashk-e-qamar Rakhte Hain is written by Madhav Ram Jauhar. Read famous Poem Raat Din Chain Hum Ai Rashk-e-qamar Rakhte Hain for youth and Student by Madhav Ram Jauhar. Free Download Raat Din Chain Hum Ai Rashk-e-qamar Rakhte Hain in PDF.