Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_038eb084fb60719bed70a96cd349c81d, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Pae-gul-gasht Suna Hai Ki Wo Aaj Aate Hain - Madhav Ram Jauhar Poetry In English - Darsaal

Pae-gul-gasht Suna Hai Ki Wo Aaj Aate Hain

pae-gul-gasht suna hai ki wo aaj aate hain

phulon ki bhi ye KHushi hai ki khile jate hain

bahr-e-taskin-e-dil ahbab ye farmate hain

aap kahiye to abhi ja ke bula late hain

gudgudi kar ke hansate hain jo ghash mein ahbab

kis ke rumal se talwe mere sahlate hain

aap ke hote kisi aur ko chahun tauba

kis taraf dhyan hai kya aap ye farmate hain

meri hi jaan ke dushman hain nasihat wale

mujh ko samjhate hain un ko nahin samjhate hain

bulbulo bagh mein ghafil na kahin ho jaana

har taraf ghat mein sayyaad nazar aate hain

KHub pahchan liya hum ne tumhein dil de kar

sach kaha hai ki jo khote hain wahi pate hain

mujh ko bawar nahin sach sach ye bata de hamdam

tu ne kis se ye suna hai ki wo aaj aate hain

kya dil o dida bhi harkare hain subhan-allah

lakh pardon mein koi ho ye KHabar late hain

dekh achchha nahin 'jauhar' kahin mail hona

jab bhi samjhate the ab bhi tujhe samjhate hain

(362) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Pae-gul-gasht Suna Hai Ki Wo Aaj Aate Hain In English By Famous Poet Madhav Ram Jauhar. Pae-gul-gasht Suna Hai Ki Wo Aaj Aate Hain is written by Madhav Ram Jauhar. Read famous Poem Pae-gul-gasht Suna Hai Ki Wo Aaj Aate Hain for youth and Student by Madhav Ram Jauhar. Free Download Pae-gul-gasht Suna Hai Ki Wo Aaj Aate Hain in PDF.