Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_19244e1aa4d51f01ce6da99d84145468, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Hum Na ChhoDenge Mohabbat Teri Ai Zulf-e-siyah - Madhav Ram Jauhar Poetry In English - Darsaal

Hum Na ChhoDenge Mohabbat Teri Ai Zulf-e-siyah

hum na chhoDenge mohabbat teri ai zulf-e-siyah

sar chaDhaya hai tu kya dil se giraen tujh ko

chhoD kar hum ko mila shama-ruKHon se ja kar

isi qabil hai tu ai dil ki jalaen tujh ko

dard-e-dil kahte hue bazm mein aata hai hijab

taKHliya ho to kuchh ahwal sunaen tujh ko

apne mashuq ki sunta hai burai koi

kyun na hum bigDen jo aghyar banaen tujh ko

ruThta hun jo kabhi main to ye kahta hai wo shoKH

kya gharaz hum ko paDi hai jo manaen tujh ko

tu ne aghyar se aaina manga kar dekha

dil mein aata hai ki ab munh na dikhaen tujh ko

(378) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hum Na ChhoDenge Mohabbat Teri Ai Zulf-e-siyah In English By Famous Poet Madhav Ram Jauhar. Hum Na ChhoDenge Mohabbat Teri Ai Zulf-e-siyah is written by Madhav Ram Jauhar. Read famous Poem Hum Na ChhoDenge Mohabbat Teri Ai Zulf-e-siyah for youth and Student by Madhav Ram Jauhar. Free Download Hum Na ChhoDenge Mohabbat Teri Ai Zulf-e-siyah in PDF.