Hote KHuda Ke Us But-e-kafir Ki Chah Ki
hote KHuda ke us but-e-kafir ki chah ki
itni to baat mujh se hui hai gunah ki
soz-e-darun kiya jo mera shama ne bayan
jal kar zaban kaT li mere gawah ki
bharta hai aaj KHub tarare samand-e-naz
qumchi hai un ke hath mein zulf-e-siyah ki
dekha huzur ko jo mukaddar to mar gae
hum miT gae jo aap ne maili nigah ki
furqat mein yaad aae jo lutf-e-shab-e-visal
ek aah bhar ke jaanib-e-gardun nigah ki
sunsan kar diya mere pahlu ko le ke dil
zalim ne luT kar meri basti tabah ki
wo mujh se kah rahe hain ishaaron mein dekhna
sab taD jaenge sar-e-mahfil jo aah ki
hum wo the dil hi dil mein kiya zabt-e-raaz-e-ishq
sadme uTha ke mar gae munh se na aah ki
afsos hai ki main to phirun dar-ba-dar KHarab
tum ko KHabar na ho mere haal-e-tabah ki
'jauhar' KHuda ke fazl se aisi ghazal kahi
shohrat mushaire mein hui wah-wah ki
(349) Peoples Rate This