Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_16849416a78e4d5368ef5f31e46b0f5a, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Gulzar Mein Jo Dur Gul-e-lala-rang Ho - Madhav Ram Jauhar Poetry In English - Darsaal

Gulzar Mein Jo Dur Gul-e-lala-rang Ho

gulzar mein jo dur gul-e-lala-rang ho

wo be-hijabiyan hon ki nargis bhi dang ho

sayyaad o baghban mein bahut hoti hai salah

aisa na ho kahin gul o bulbul mein jang ho

afsos maut bhi nahin aati shab-e-firaq

wo kya kare gharib jo jine se tang ho

kafi hai boriya hi faqiron ke waste

mayub hai jo sheron ke ghar mein palang ho

laDne ko dil jo chahe to aankhen laDaiye

ho jang bhi agar to mazedar jang ho

jo dost hain wo mangte hain sulh ki dua

dushman ye chahte hain ki aapas mein jang ho

koi mare kisi ko KHushi ho KHuda ki shan

matam kisi jagah ho kahin nach-rang ho

(315) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Gulzar Mein Jo Dur Gul-e-lala-rang Ho In English By Famous Poet Madhav Ram Jauhar. Gulzar Mein Jo Dur Gul-e-lala-rang Ho is written by Madhav Ram Jauhar. Read famous Poem Gulzar Mein Jo Dur Gul-e-lala-rang Ho for youth and Student by Madhav Ram Jauhar. Free Download Gulzar Mein Jo Dur Gul-e-lala-rang Ho in PDF.