Dil Jab Se Tere Hijr Mein Bimar PaDa Hai
dil jab se tere hijr mein bimar paDa hai
jine se KHafa jaan se be-zar paDa hai
sauda na bana gesu-e-jaanan se to kya gham
le lenge kahin aur se bazar paDa hai
parhez tap-e-hijr se hai tujh ko jo ai dil
tu aur bhi aage kabhi bimar paDa hai
farmaiye roke se ruke hain kabhi aashiq
darwaze pe qufl aap ke sau bar paDa hai
main dair o haram ho ke tere kuche mein pahuncha
do manzilon ka pher bas ai yar paDa hai
ki tark-e-mohabbat to liya dard-e-jigar mol
parhez se dil aur bhi bimar paDa hai
tauqir nahin anjuman-e-KHas mein dil ki
shisha tere mai-KHana mein bekar paDa hai
kuchh sham-e-judai mein sujhai nahin deta
parda KHirad o hosh pe ai yar paDa hai
'jauhar' kahin bikti hi nahin jins-e-mohabbat
kya qaht wafa ka sar-e-bazar paDa hai
(368) Peoples Rate This