But-kade Mein Na Tujhe Kabe Ke Andar Paya
but-kade mein na tujhe kabe ke andar paya
donon aalam se juda hum ne tera ghar paya
yun to duniya mein qayamat ke pari-ru dekhe
sab se baDh kar tujhe ai fitna-e-mahshar paya
apni apni hai ye taqdir sabhi the sail
ek ko shisha mila ek ne patthar paya
be-KHudi ne mujhe didar dikhaya tera
tujh ko paya to magar aap ko kho kar paya
chashma-e-faiz hai kya zat mere saqi ki
ek qatre ko kaha jis ne samundar paya
KHush-nasib aap bhi duniya mein hain kya ai 'jauhar'
muntazir yar ko pahle hi se dar par paya
(327) Peoples Rate This