Bu-e-gul Sungh Kar BigaDte Hain
bu-e-gul sungh kar bigaDte hain
ye pari-ru hawa se laDte hain
kyun jawani ke pichhe paDte hain
bhagte ko nahin pakaDte hain
ek din wo zamin dekhenge
ai falak aaj ko akaDte hain
mal rahe hain wo apne ghar mehndi
hum yahan eDiyan ragaDte hain
nama-bar na-umid aata hai
hae kya sust panw paDte hain
jis ke hain us ke hain hum ai jauhar
yar ban kar kahin bigaDte hain
(317) Peoples Rate This