Kuchh Nahin Badalne Wala
phir wahi mahaul wahi shor-sharaba
wahi kuchh nae purane chehron ka bol-baala
phir se saj gai tabdiliyon ki manDiyan
par asl mein kuchh nahin badalne wala
phir chiKHte phir rahe bad-hawas chehre
phir rache jaanen lagen hain saDyantr gahre
phir se gunjne lagen hain fazaon mein nare
pichhlaggu ban gae hain kuchh bhuk ke mare
phir se ye batai jaane lagi badlaw ki baaten
phir se kursi qabzane ko hone lagin hain ghaten
phir se aa gaya hai chunaw ka mausam panch-sala
par asl mein kuchh nahin badalne wala
kuchh aa jaenge chehre nae purane
ban ke rahnuma lag jaenge desh ko khane
phir shurua hoga aam aadmi ki taqdir se khel
phir bheja jaega kuchh haare huon ko jail
phir se nayay ka Dhong rachaya jaega
aadmi ko roTi ke wade se bahlaya jaega
phir se hoga luT-khasuT ka nanga nach
phir jhuTh ko bataya jaega sanch
mujhe jalaegi mere andar ki aanch
aur TuTte sapne chubhenge ban ke kanch
phir se zindagi bunne lagegi makaD-jala
main jaanta hun ki kuchh nahin badalne wala
(504) Peoples Rate This