Kuchh Us Maqam Se Ab Dil Ka Karwan Guzre
kuchh us maqam se ab dil ka karwan guzre
yaqin ki had se jo guzre to be-zaban guzre
ye ittifaq kahan hai ki aankh bhar aai
mohabbaton mein koi kaise be-nishan guzre
mujhi se ho ke guzarti hai rah duniya ki
so mujh se ho ke zamin aur aasman guzre
talluqat mein wo marhale bhi kaise the
yaqin aur guman ke jo darmiyan guzre
tilism-e-rang mein uljhe hue hain sab 'danish'
jo dekhne hain wo manzar abhi kahan guzre
(475) Peoples Rate This