Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_4514dc3cce8729f0bc6dd2ea47f6cacf, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Chalte Rahne Ke Liye Dil Mein Guman Koi To Ho - Madan Mohan Danish Poetry In English - Darsaal

Chalte Rahne Ke Liye Dil Mein Guman Koi To Ho

chalte rahne ke liye dil mein guman koi to ho

be-natija hi sahi par imtihan koi to ho

aasmanon ke sitam sahti hain is ke bawajud

sab zaminen chahti hain aasman koi to ho

mehrbanon hi se bach kar aae the tum dasht mein

ab yahan bhi lag raha hai mehrban koi to ho

qahqahon ko yaad rakhti hi nahin duniya kabhi

is liye dukh ki bhi pyare dastan koi to ho

kar raha hun main daraKHton se musalsal guftugu

is ghane jangal mein 'danish' ham-zaban koi to ho

(427) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Chalte Rahne Ke Liye Dil Mein Guman Koi To Ho In English By Famous Poet Madan Mohan Danish. Chalte Rahne Ke Liye Dil Mein Guman Koi To Ho is written by Madan Mohan Danish. Read famous Poem Chalte Rahne Ke Liye Dil Mein Guman Koi To Ho for youth and Student by Madan Mohan Danish. Free Download Chalte Rahne Ke Liye Dil Mein Guman Koi To Ho in PDF.