Aadhi Aag Aur Aadha Pani Hum Donon
aadhi aag aur aadha pani hum donon
jalti-bujhti ek kahani hum donon
mandir masjid girja-ghar aur guru-dwara
lafz kai hain ek maani hum donon
rup badal kar nam badal kar aate hain
fani ho kar bhi la-fani hum donon
gyani dhyani chatur siyani duniya mein
jite hain apni nadani hum donon
aadha aadha banT ke jite rahte hain
raunaq ho ya ho virani hum donon
nazar lage na apni jagmag duniya ko
karte rahte hain nigarani hum donon
KHwabon ka ek nagar basa lete hain rose
aur ban jate hain sailani hum donon
tu sawan ki shoKH ghaTa mein pyasa ban
chal karte hain kuchh man-mani hum donon
ik-duje ko rose sunate hain 'danish'
apni apni ram-kahani hum donon
(569) Peoples Rate This