Tanduruston Mein Na Bimaron Ke Bich
tanduruston mein na bimaron ke bich
ishq ke hun main dil-afgaron ke bich
ishq hai sair-e-KHuda ai dostan
is liye ashraf hai asraron ke bich
manzil-e-dur-o-daraaz-e-ishq mein
gham ko paya hum ne gham-KHwaron ke bich
dostan hai la-dawa dur-az-shifa
ishq ka aazar aazaron ke bich
ab to hai kunj-e-qafas ghar par kabhi
bulbulo the hum bhi gulzaron ke bich
kya kahen hum kah nahin sakte hain yar
andkon mein hai ki bisyaron ke bich
jis ke juya momin o mushrik hain wo
subbahon mein hai na zunnaron ke bich
rahm kar hum par bhi dil-bar hain tere
ishq ke hathon se aawaron ke bich
gul ne ta dawa kiya ruKH se tere
be-qadar bakta hai bazaron ke bich
ya husain-ibn-e-ali 'matam' ko bhi
kije daKHil apne zawwaron ke bich
(398) Peoples Rate This