Aashiq Hai Jo Tumhaare RuKH-e-surKH-rang Ka
aashiq hai jo tumhaare ruKH-e-surKH-rang ka
rahta hai us ko nashsha sharab-e-farang ka
kahte hain log dekh tere ruKH pe KHal ko
kya hukm rome mein hai sipahdar zang ka
ai rashk-e-hur wusat-e-jannat mein bhi mujhe
tujh bin hai be-guman yaqin gor-e-tang ka
jab se patang hun main tere shama-ru ka yar
malum tha na tujh ko uDana patang ka
KHauf-e-KHuda na hota to rakhta main ai sanam
arsh-e-azim nam tumhaare palang ka
ai sabz-rang mast-e-mai-e-ishq-o-husn to
afyun ko puchhte nahin kya zikr bhang ka
KHal-e-ruKH-e-nigar hain chehre KHayal mein
bini dikhai de hai donali tufang ka
matam mera hai yar siwa hum ko bazm-e-nur
saut-e-buka se kam nahin aawaz chang ka
aatish ka sher paDhta hun aksar ba-hasb-e-haal
dil said hai wo bahr-e-suKHan ke nahang ka
wo chashm ghat mein dil-e-pur-dagh ke nahin
aahu ko hai irada shikar-e-palang ka
namus ka to fikr hai 'matam' abas yahan
ye ishq KHasm nam ka dushman hai nang ka
(846) Peoples Rate This