Sham-e-gham Afsurda-o-hairan The Hum
sham-e-gham afsurda-o-hairan the hum
log samjhe be-sar-o-saman the hum
tez thi itni zamane ki hawa
pairahan-dar-pairahan uryan the hum
hum se be-mani gurez-o-iKHtilaf
ham-nashin do rose ke mehman the hum
aaj apni shahriyat mashkuk hai
ek din is mulk ke sultan the hum
zindagi kya hashr ka maidan thi
apni apni fikr mein ghaltan the hum
munkashif the hum pe asrar-e-jamal
raaz-dar-e-jalwa-e-jaanan the hum
thi hamin se garmi-e-mahfil 'qadir'
dastan-e-zist ke unwan the hum
(417) Peoples Rate This