Yun Nikalti Hai Meri Baat Dahan Se Uske
yun nikalti hai meri baat dahan se us ke
jaise barson ka taaruf ho badan se us ke
yun sar-e-bazm mila TuT ke ek umr pe wo
hum bhi ghabra gae be-saKHta-pan se us ke
us ka lahja hai ki bahti hui naghmon ki nadi
jaise ilham ki barish ho suKHan se us ke
us se mil ke bhi KHala ab bhi wahi ruh mein hai
mutmain dil bhi nahin sarw-o-saman se us ke
KHilqat-e-shahr ne afsane tarashe kya kya
dil tahi-dast hi lauTa hai chaman se us ke
is tarah shahr salibon se sajaya us ne
koi mahfuz nahin dar-o-rasan se us ke
dekhna kis ke lahu se hai charaghan maqtal
ek ugta hua suraj hai kafan se us ke
(394) Peoples Rate This