Main Apne-ap Ko Aawaz De Raha Hun Abhi
main apne-ap ko aawaz de raha hun abhi
ghazal ke hath mein ek saz de raha hun abhi
ek ek harf meri tishnagi ka zamin hai
ek ek harf ko ejaz de raha hun abhi
hawa ki zad pe koi barg-e-zard hai kab se
so us ke soz ko ek saz de raha hun abhi
main dar-ba-dar hun abhi apni justuju mein bahut
main apne lahje ko andaz de raha hun abhi
thama ke hath mein un ke fazilaton ki sanad
main jahilon ko bhi eazaz de raha hun abhi
ajab tilism hai aks-e-niyaz o naqsh-e-hawas
main rabt-e-shauq ko aaghaz de raha hun abhi
(423) Peoples Rate This