Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_b5b89f1fe77fb83d63171176897d7178, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Apne Lafzon Mein Ki Har Chand Ayan Hun Main Bhi - Lutf-ur-rahman Poetry In English - Darsaal

Apne Lafzon Mein Ki Har Chand Ayan Hun Main Bhi

apne lafzon mein ki har chand ayan hun main bhi

ban ke zaKHmon ki kasak KHud mein nihan hun main bhi

tere aaghaz se anjam hai raushan mera

barg-e-awara koi KHak-e-rawan hun main bhi

mo'tabar ab to bana ai nigah-e-naz mujhe

is bhare shahr mein benam-o-nishan hun main bhi

waza-dari ka KHaridar kahin se lao

apni tahzib ki uThti si dukan hun main bhi

tere KHwabon se hai aabaad KHaraba mera

teri yaadon mein karan-ta-ba-karan hun main bhi

(446) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Apne Lafzon Mein Ki Har Chand Ayan Hun Main Bhi In English By Famous Poet Lutf-ur-rahman. Apne Lafzon Mein Ki Har Chand Ayan Hun Main Bhi is written by Lutf-ur-rahman. Read famous Poem Apne Lafzon Mein Ki Har Chand Ayan Hun Main Bhi for youth and Student by Lutf-ur-rahman. Free Download Apne Lafzon Mein Ki Har Chand Ayan Hun Main Bhi in PDF.